Posts

Showing posts with the label Rainy Eyes Typing

Typed by *_RAINY_EYES_* Aankh se aankh mila baat banata kyun hai. Tu agar mujh se khafa hai to chupata kyun hai. Ghair lagta hai na apnon ki tarah milta hai. Tu zamany ki tarah mujh ko satata kyun hai. Waqt ke saath halat badal jatay hain. Ye haqeqat hai,magar mujh ko sunata kyun hah. Aik mudat se jahan kaflay guzray hi nahi. Aisi rahon par chiraghon ko jalata kyun hai. Unknown poet follow *_RAINY_EYES_*

Aankh Mein Koi Sitara Ho Zarori To Nahi. Typed by *_RAINY_EYES_* Aankh mein koi sitara ho zarori to nahi. Pyar mein koi hamara ho zarori to nahi. Ye haqeqat hai ke mujhe tujhse muhabat hai. Par tere sath guzara ho zarori to nahi. Ye mere dar se jo pholon ki mehek aati hai. Tere aane ka ishara ho zarori to nahi. Doobte waqt ki nazar us pe bhi to par sakti hai. Samne mere kinara ho zarori to nahi. Kam nahi ye ke hai sheher hamara lekin. Sheher mein koi hamara ho ye zarori to nahi. Ho sakta hai khata us ka nishana aye khushi. Teer us ne mujhy mara ho zarori to nahi. Unknown poet Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

*NAAT* Aa Jaye Bulawa Mujhy. Typed by *_RAINY_EYES_* Aa jaye bulawa AQA mujhy tere dar se jis dar ki ghulami ko to jibrel bhi tarse. Paidal hi nikalte hain,masafat ka nahi khauf thakte hi nahi hat to madine ke safar se. Sunat pe teri chalne ka aa jaye qareena,ye abr_e_karam kash mere dasht pe barse. Zarah bhi lage gohar_o _almas se barh kar,dekhe to koi khak_e_arab meri nazar se. Ek mahn hi nahi talib_e_jalwa mere AQA,Har aik muslman tere deed ko tarse. Namoos_e _mohammad ke liye jaan bhi don ga,ho jaon ga waqif main shahadat ke hunar se. Dunya ke faqat chand hi lamhat the guzre,ho aaye payambar mere sadiyun ke safar se. Jo sham_o _sahar salle alla kehta rahe ga,aye ga bulawa use AQA ke nagar se. Kuch khauf nah mujh ko kari dhop ka amjad,saya mujhe milta hah Risalat ke shajar se. Follow *_RAINY_EYES_* Send 8001.

*NAAT* Aane Walo Ye To Batao. Typed by *_RAINY_EYES_* Aane walo ye to batao shehr madina kesa hai. Sar un ke qadmon me rakh kar jhuk kar jeena kesa hai. Gunbaday khazra ke saaye me beth ke tum to aaye ho. Us saaye me rab ke aagay sajda karna kesa hai. Dil aankhon aur rooh tumhari lagti he sehraab mujhy. Dar pe un ke beth ke zamzam peena kesa hai. Diwano aankhon se tumhari pooch to lene do. Waqt e dua rozay pe un ke aansoo bahana kesa hai. Waqt e rukhsat dil ko apne chhor wahan tum aaye ho. Ye batlao ishrat un ke dar se bicharna kesa hai. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Aine Ke Sau Tukre Kar Ke. Typed by *_RAINY_EYES_* Aaine ke sau tukre kar ke hum ne dekhe hain. Ek mein bhi tanha the,sau mein bhi akele hain. Jo bana tha ek sathi,woh bhi hum se chhuta hai. Bewafa nahi jab wo phir kyun hum se rutha hai. Khoyi khoyi aankhon me,aansuon ke mele hain. Us ka haal kya hoga,yahi gham satata hai. Neend bhi nahi aati,dard barhta jata hai. Zindagi ki rahoon mein,log humse khele hain. Har taraf ujala hai,dil mein ek andhera hai. Samne kab aayega,kiun chhupa savera hai. Mera dil jigar dekho,kitne dard jhele hai. Ek mein bhi tanha the sau mein bhi akele hain. Aaine ke sau tukre kar ke hum ne dekhe hain. Movie=Maa Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Baharon Ki Mujh Ko Zarurat Nahi Hai. Typed by *_RAINY_EYES_* Baharon ki mujh ko zaroorat nahi hai. Nazaron ki mujh ko zaroorat nahi hai. Akele chale the,akele chalange. Hazaron ki mujh ko zaroorat nahi hai. Zameen ki ye raunak mujhy bhaa gai hai. Sitaron ki mujh ko zaroorat nahi hai. Mujhy raas aata hai lehron se larna. Kinaron ki mujh ko zaroorat nahi hai. Main janta hoon, haqeqat tumhari. Isharon ki mujh ko zaroorat nahi hai. Wo rahain saath mere yun hi. Saharon ki mujh ko zaroorat nahi hai. Unknown poet. Follow *_RAINY_EYES_*

*DUA* Typed by *_RAINY_EYES_* Meri qismat main bhi aisa koi sajda kar de. Jo mere sare gunahon ka madwa kar de. Sari duniya se chura kar mujhy apna kar de. Meri mitti ko bhi"RAB" mere tu sona kar de. Main tera chahne wala hon magar hai hasrat. Jin ko ju chahta hai mujh ko bhi waisa kar de. Ek nazar apne gunahgar pe kar ke Mola. Apni rehmat ka sazawar hamesha kar de. Jis taraf jaon,faqat tere hi jalway daikhun. Shoq_e_ulfat ko mere had se tu zyada kar de. Ameen Sum Amee. Follow *_RAINY_EYES_* send 8001

Dil Mein Ab Yun Tere Bhooley Howey Gham Aate Hain. Typed by *_RAINY_EYES_* Dil mein ab yun tere bhooley howey gham aate hain. Jaise bichre hue kaabey mein sanam aate hain. Ek ek kar ke hue jate hain diye tere roshan. Meri manzil ki taraf tere kadam aate hain. Raqs_e_meh tez karo,saaz ki leh tez karo. Suye meh_khana safren_e _haram aate hain. Kuch humain tou nahi ehsan uthaney ka dimah. Wo tou jab aate hain mayel be karam aate hain. Aur kuch der na guzre shabe_e _furkat se kaho. Dil bhi kam dukhta hai,woh yaad bhi kam aate hain. Poet Ahmed Faraz. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi Bujha Bhi Dena. Typed by *_RAINY_EYES_* Ek diya dil mein jalana bhi bujha bhi dena. Yaad karna use roz bhula bhi dena. Kia kahon ye meri chahat hai ke nafrat us ki. Naam likhna bhi mera,likh ke mita bhi dena. Phir na milnay ko bicharta hun tujh se lekin. Murr ke dekhun to palatnay ki dua bhi dena. Khat bhi likhna mayous bhi rehna us se. Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi dena. Mujh ko rasmon ka takalluf bhi ganwara lekin. Jee mein aaye to ye deewar gira bhi dena. Os se mansoob bhi kar lena purane qissay. Os ke baalon mein naya phool saja bhi dena. Soorat_e _naqsh_e _qadam dasht mein rehna "MOHSIN" Apnay honay se na hone ka pata bhi dena. Poet Mohsin Naqvi. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001. [prem.gzl]

Ek Mudat Se Ye Dil Tujh Ko Sada Deta Hai. Typed by *_RAINY_EYES_* Ek mudat se ye dil tujh ko sada deta hai. Kitna nadan hai ye khud ko saza deta hai. Hum to har sham jalate hain umeedon ke charagh. Jane phir kon usay aa ke bujha deta hai. Tumhari yaad ka ye bbi ajab tamasha hai. Waqt bewaqt... Mujhy tujh se mila deta hai. Main reet_e_arzu pe roz khwab likhta hoon. Wo ban ke moj har ik khwab mita deta hai. Main badnaseeb... Koi raah ka pathar to nahi. Ke jo bhi guzre thokar laga deta hai. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

NAAT lyrics . Zameen Maili Nahi Hoti. *NAAT* Typed by *_RAINY_EYES_* Zameen maili nahi hoti zaman mela nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nah hota. Mohabat kamli wale se wo jazba hai suno logo. Ye jis mann main sama jaye wo mann maila nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota. Nabi ke paak langar par jo palley he kabhi unki. Zuban maili nahi hoti,sukhan maila nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota. Mere aqaa ki ulfat to badan ko jag magted hain. Kabhi ehl_e _Muhammad ka badan maila nahi hota. Gulon ko chum laite hain sahar'nam shab'nami qatre. Nabi ki naat sum le tu chaman maila nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota. Jo naam_e _mustafa chume nahi dukhti kabhi aankhen. Pehn le pyaar jo unka badan maila nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota. Main nazan tu nahi fan par,magar "NASIR" Ye dawa hai. Sana_e_ mustafa karne se fan maila nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota. Zamin maili nahi hoti zaman maila nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota. END. Follow *_RAINY_EYES_*

Ishq Chupta Nahi. Typed by *_RAINY_EYES_* Ishq chupta nahi chupane tera aashiq hoon main zamane se. Rok na mujh ko paas aane se tera aashiq hoon main zamane se. Ab mujh chor ke na jaana tum dil mera tor ke na jaana tum. Tum to aaye ho manane se kho na jana kisi bahane se jaan jati hai tere jaane se. Tera aashiq hoon main zamane se. Mehboob, Mehboob, Mehboob, Mehboob. Mere mehboob kya tumhe hai khabar, Har jagah tum ko dhoondti hai nazar. Dekh ke tum ko jeeta marta hoon. Har ghari yaad tum ko karta hoon bhool sakta nahi bhulane se,bhool sakta nahi bhulane se. Tera aashiq hoon main zamane se. Ishq chupta nahi chupane se. Rok na mujhko paas aane se. Tera aashq hon main zamane se. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001

Ik Moom Ki Guriya Hai. Typed by *_RAINY_EYES_* Ik moom ki guriya hai ik prem kahani hai. Shaakh hai nazuk si kaliyon ki jawani hai. Wo phool ki tittli hai shola hai ke paani hai. Hai shaan samandar ki lehron ki rawani hai. Wo noor_e_sehar hai ya ik shaam suhani hai. Dekhoon to sapna hai sochon to kahani hai. Kia naam rakhoon uss ka kia baat kahoon uss se. Wo din ka ujaala hai wo raat ki raani hai. Ik moom ki guriya hai ik prem kahani hai. Follow *_RAINY_EYES_* Send 8001.

Jo Meri Aankhon Pe Marta Tha. Typed by *_RAINY_EYES_* Jo meri aankhon pe marta tha. Meri baaton pe marta tha. Na jane shakhs tha kesa? Mujhe khony se darta tha. Wo jb Bhi baat karta tha. Yahi har baar kehta tha. Suno..! Agar main bhool jaoun to. Agar main rooth jaoun to. kabhi wapas na aaoun to. bhula pao ge sab kuch kia. Yun hi hansty raho ge kia. Yun hi sajtay raho ge kia. Yahi baatein thi bas uski. Yehi yaadein hain bas uski. Mujhe maloom hai bas itna. Mujhe wo piyar karta tha! Mujhe khony se darta tha. Follow *_RAINY_EYES_* send 8001.

Jab Tum Sham_e_vida Ka. Typed by *_RAINY_EYES_* Jab Tum Sham_E_Vidaa Ka. Aakhri Manzar Meri Aankhon Ko Soanp Kar. Door Ja Chuki To Main Ne Dekha. K Meray Kurtey K Daaman Per. Tumhari Zulfoon Ka Ik. Reshmi Sa Baal Reh Gaya Hy. Main Woh Baal Choom K. Waheen Kisi Ek Pairr Ki. Jhuki Hui Shakh Pe Bandh Kar. Apne Tareek_O_Shikast Khurda Muqadar K Sath. Loat Aaya Tha! Ab Suna Hai K Loag. Us Pairr Ki Tehniyon Pe. Siyah Dhagey Bandh Kar. Janey Waloon Ki Wapsi Ki. Man'nat Maanty Hain.! Follow *_RAINY_EYES_*

Kabhi Hum Un Se Kabhi wo Hum Se Ruth Jate Hain. Typed by *_RAINY_EYES_* Kabhi hum un se kabhi wo hum se ruth jate hain. Hawa kuch chalti hai aisi ke kinaray chut jate hain. Samandar ki gehrai se bhi hote hen jo gehray. Pal bhar mein qn wo rishte toot jatay hain. Jin pe hota hai bharosa apne ap se barh kar. Wo log dil ki dunia qn loot letay hain. Teer chalte hain jab nafrat ke un ki aankhon se. Dil kanch ke hote hain aksar toot jatey hain. Bara naaz hai mujhy un ki adaon par "dost" Zara zara si Bat par jo ruth jatey hain. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Khwabon Ka Ik Jahan Mujhe De Gaya Koi. Typed by *_RAINY_EYES_* Khwabon ka ik jahan mujhy de gaya koi. Mitti ka ik makan mujhy de gaya koi. Wo dil mein reh gaya hai ke dil se utar gaya. Kitna ajeeb guman mujhy de gaya koi. Sehra pe apne ghar ka pata likh gaya tha wo. Mit'ta howa nishan mujhy de gaya koi. Maah_o _najoom noch ke,soraj bujha diya. Phir sara aasman mujhy de gaya koi. Kishti mein chhaid os ne kia aur us ke baad. Kaaghaz ka badban mujhy de gaya koi. Us ne gulaab haath mein le kar kaha batool. Khushbu ka tarjuman mujhy de gaya koi. Unknown poet. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Kabhi Khalwaton Mein Hansa Dia. Typed by *_RAINY_EYES_* Kabhi khalwaton mein hansa dia kabhi mehfilo mein rula dia. Tujhy kia khabar teri yaad ne mujhy kaisay kaisay sata diya. Tujhy kya khabar tere ishq mein kabhi namaz apni qaza hoi. Teri aarzu ne kabhi kabi mujhy mere rab say mila diya. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Koi Dhoond Aisa Humsafar. Typed by *_RAINY_EYES_* Koi dhoond aisa humsafar. Jisay tu apna bana sakay. Tou kahey ke raat hai. Aur woh chandni luta sakay. Tere aansoun ko woh samet le. Ke koi na tujh ko rula sakay. Teri raah main ho jo mushkilain. Apni palkun se wo utha sakay. Tujhy rakh ly apne hisar main. K tujh ko na koi chura sakay. Wo ho tere itna qareeb ke. Kisi ki yaad bhi na tujhy aa sakay. Haan! Koi dhoond aisa humsafar... Jo meri tarah tumhain chah sakay. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Kuch Kehne Ko Jee Chahta Hai,Aaj Rone Ko Jee Chahta Hai. Typed by *_RAINY_EYES_* Kuch kehne jo jee chahta hai,aaj rone ko jee chahta hai. Jaagte mein sab dekh liya yaaro. Ab sone ko jee chahta hai. Teri aankh mein apna aqs dekh kar, kajal hone jo jee chahta hai. Chandni dekh kar hamein bhi chaand hone ko jee chahta hai. Subah se bahut hans liya kya, aankh bhigone ko jee chahta hai. Wo bahut pyar hai magar ab. Juda hone ko jee chahta hai. Tere daag_e_dil dekh kar "MOHSIN" Ab daag dhone ko jee chahta hai. Follow *_RAINY_EYES_*