Posts

Aik Hikayat Thar'ra Uthi Aik Fasana Jaag Utha

Aik Hikayat Thar'ra Uthi Aik Fasana Jaag Utha . Us Ny Jidhar Ko Hans Kr Daikha Hairat Khana Jaag Utha . Mere Janon Ny Chup Sadhi Thi Uski Nazr Phr Hasnay Lagi . Aik Dewana Soya Hi Tha Aik Dewana Jaag Utha . Shamma Akeli Jalti Rahi Kal Raat Bari Mayosi Say . Junhi Magr Wo Raakh Hoi Morakh Parwana Jaag Utha . Yar K Kaano Tak Darban Nay Cheekh Na Meri Jane Di . Shor To Itna Tha Warna Apna Baigana Jaag Utha . Raat Boht Bay Waqt Adam Hum Ja Nikle Maikhane Ko . Phr Bhi Hamari Dastak Sun Kr Aik Paimana Jaag Utha.....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Chara E Dard

Yun Tanha Tanha Na Khaak Ura

Yun Tanha Tanha Na Khaak Ura Meri Jaan Mere Qareeb Aa . Main Bhi Khasta Dil Hon Teri Tarha Meri Jaan Mere Qareeb Aa . Main Samandaro Ki Hawa Nahi K Tujhe Dikhai Na Day Saakon . Koi Bhola Basra Khayal Hon Na Gumaan Mere Qareeb Aa . Na Chupa K Zakhm E Wafa Hai Kya Teri Arzo Ki Katha Hai Kya . Teri Charagar Na Ye Zindagi Na Jahan Mere Qareeb Aa . Tujhe Aise Waison Ki Dosti Nay Boht Kharab O Khujal Kiya . Kisi Jhot Ki Ye Niqaab Rukh Pay Na Taan Mere Qareeb Aa . Jo Nikal Sake To Nikaal Lay Koi Waqt Apne Liay Koi . Mere Paas Baith K Ro To Lay Kisi Aan Mere Qareeb Aa . Na Muqalma Ho Na Guftagu Faqt Itna Ho K Na Main Na To . Milain Sirf Apne Jale Hoay Dil O Jaan Mere Qareeb Aa.....'*SA*' . Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet Aitbaar Sajid Book Ye Shaam Tumhare Naam

Hamain Hi Na Kanton Ka Ye Haar Dalain

Hamain Hi Na Kanton Ka Ye Haar Dalain . Zara Khod Ko Bhi Kho E Isaar Dalain . Irada Hai Nadaan O Shoqeen Dil Ko . Kisi Chand Si Shakal Par Waar Dalain . Agar Zindagi Waqayee Ik Jowa Hai . To Bar Waqt Sab Kuch Kaheen Haar Dalain . Wo Tanha Na Dil Apna Behla Sakain Gay . Kaho Saaz Main Aik Or Taar Dalain . Kaheen Yun Na Ho Zindagi Daine Wale . Boht Josh Main Aain To Maar Dalain . Guzar Jayain Gay Yun Bhi Din Zindagi K . Tere Khulq Par Kis Liay Baar Dalain . "Adam" Aao Allah Ka Naam Lay Kar . Kisi Chulbuli Moat Say Pyar Dalain....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameedul Hameed Adam Book Chara E Dard

Jab Zakhm Daiheknay Wale Hon

Jab Zakhm Daiheknay Wale Hon Or Khushbo K Paighaam Milain..* - - Or Apne Dareeda Daman K Jab Chaak Silain..* - - Dil Dukhta Hai..* - - Jab Ankhain Khud Say Khawab Bunain Khawabon Main Basray Chehro Ki..* - - Jab Bheer Lage Us Bheer Main Jab Tum Kho Jao..* - - Dil Dukhta Hai..* - - Jab Habs Barhay Tanhai Ka Jab Khawab Jalain Jab Ankh Bujhay Tum Yaad Aao..* - - Dil Dukhta Hai....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - - Poet Mohsin Naqvi Book Azaab E Deed

Khabr Koi Meri Agar Paaiye Ga

Khabr Koi Meri Agar Paaiye Ga Mujhe Bhi Mere Saath Milwaiye Ga . Zamane Ka Dastor Hai Nuqta Cheeni Zamane Say Bilkul Na Ghabraiye Ga . Zara Main Bhi Dil Apna Thanda Karonga Zara Ap Bhi Naaz Uthaiye Ga . Dawami Rafaqat To Mushkil Hai Phr Bhi Boht Jald Dhoka Na Day Jaiye Ga . Ye Dil Waqay'ee Boht By Kashish Hai To Kya Isko Weraan Kr Jaiye Ga . Yahi Aana Jana To Hai Zindagi Ka Kabhi Aaiye Ga Kabhi Jaiye Ga . Jo Humdardiyaan Ap Nay Ki Hai Kabhi Ap Hi Ghour Farmaiye Ga . "Adam" Hi Ka Ghr Aaj Ban Jaye Jannat Gai Raat Hai Kis Tarf Jaiye Ga....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abd Adam Book Chara E Dard

Na Koi Ankh Uthti Hai Na Koi Jaam Milta Hai

Na Koi Ankh Uthti Hai Na Koi Jaam Milta Hai Abhi To Maikada Hum Ko Baraye Nam Milta Hai Khuda Ka Shukar Kr Tohmat Agr Us Ankh Ki Aye Bari Mushkil Sy Aaisa Qemti Ilzam Milta Hai Muhbat Kitni Na Jaiz C Or Mahmal Si Khawahish Hai Kisi Ko Kon Is Dunya Main Subah Sham Milta Hai Saba Sy Phol Sy Shabnum Sy Jugnu Sy Parindon Sy Garz Har Shy Sy Hr Dum Pyr Ka Paigaam Milta Hai Parstish Husn Ki Aik Qodrti Khowahish Hai Insaan Ki Jo Milta Hai Tumhare Ta'by Ehkam Milta Hai Tera Ghr Chin Gaya To Kya Hoa Ay Shahed Ki Makhhi Sharafat Ka To Dunya Main Yahi Inam Milta Hai Hamaisha Larte Rahte Ho Agarcha Hum Sy Tum Phr Bhi Tumhara Nam Laine Say Bara Aram Milta Hai Gulabi Rang Sy Jisko Muhabt Ho Wo Me'y Paikr Hamesha Gul Badn Gul Perhun Gulfam Milta Hai Muhbt Hi Adam Wo Khobsort Moat Hai Jisko Behr E Unwan Hayat E Jodaan Ka Naam Milta Hai..*SA* - - Type By..-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad..* - Poet:- A H Adam

Kitni Hamdardi Jatane Aaye Hai

Kitni Hamdardi Jatane Aaye Hai Gehri Khundak Main Giranay Aaye Hai . Khali Kar K Aap Pora Maikada Meri Mainoshi Choranay Aaye Hai . Humko Khushyon Say Bhala Kya Wasta Hum Jo Jashn E Ghum Manany Aaye Hai . Apni Hum Dardi Say Bhi Lagta Hai Darr Sochta Hon Kya Zamane Aaye Hai . Chandd Pagal Mut'tahid Ho Kar "Adam" Mujh Ko Nadaani Sikhanay Aaye Hai....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Chara E Dard