Posts

Yahi Teri Kaboliyat Ki Bina Hai

Yahi Teri Kaboliyat Ki Bina Hai Tu Dushman Hai Lekin Bara Dilruba Hai . Muhbat Boht Hi Galat Shay Hai Mana Magar Dosri Kon Si Kuch Baja Hai . Kisi Ki Jo Karta Nahi Aaib Joi Wo Insaan Intihai Parsaa Hai . Duaain Bhi Waqf Bani Hai Kisi Ki Tu Meri Koi Khobsorat Dua Hai . Gareebo Ko Milna Buri Shay Nahi Par Tumhari Khushi Hai Tumhari Raza Hai . Wo Kis Darja Khush Hai Ye Maloom Kr K "Adam" Kitna Nadaan Or Sar Phira Hai....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Jahan Hum Faqeero K Dairay Rahain Gay

Jahan Hum Faqeero K Dairay Rahain Gay Wahan Meh Jabeeno K Phairay Rahain Gay . Jo Raatain Katain Gi Tere Saath Unki, Bare Khobsorat Sawairay Rahain Gay . Tu Takleef Day Ga Main Khidmat Karonga, Yahi Mashgale Tere Mere Rahain Gay . Ye Barsaat Ki Aarzi Rut Nahi Hai, Wo Gaisu Hamaisha Ghairay Rahain Gay . To Hasil Hamain Ho Na Ho Aay Pari Wash, Magr Hum Talabgaar Tere Rahain Gay . "Adam" Mera Batin Bhi Mithra Kaahin Hai Yahaan Goopiyon K Basairay Rahain Gay....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Lutf Ho Ya Itaab Ho Jaye

Lutf Ho Ya Itaab Ho Jaye Koi Kaar E Sawaab Ho Jaye . Roz E Mehshr Bhi Hum Tarastay Rahe K Hamara Hisaab Ho Jaye . Jis Ko Saqi Ki Ungliyan Chu Lain Wo Piyala Rubaab Ho Jaye . Haath Phaila K Daikh Lon Shayad Tera Anchal Jawab Ho Jaye . Harj Kya Hai Jo Aik Manoher Say Jurm Ka Irtikaab Ho Jaye . Mera Dil Us K Sar Par Saj K "Adam" Chand Kya Aftaab Ho Jaye....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Kon Kis Ki Madad Ko Aata Hai

Kon Kis Ki Madad Ko Aata Hai Waqt Hai Khud Hi Beet Jata Hai . Teri Tafreeh Ko Nazar Na Lage Q Faqeeron Ka Dil Dukhata Hai . Kya Koi Rokta Nahi Us Ko Kon Ye Mortain Banata Hai . Shab Labeeda Hai Alam E Hasti Koi Aata Hai Koi Jata Hai . Ye Tumhain Kis Nay Wahem Dala Tha Rehnuma Rah Bhi Dikhata Hai . Us Jaga Tak Na Sath Ly Jana Jis Jaga Saath Choott Jata Hai . Teri Nazrain Chorti Hi Nahi Daikhta Hai Tu Ya Bulata Hai . Jurm Ho Jaye Ga Koi Mujh Say Q Mera Hosla Barhata Hai . Yun Bikharti Hai Kakalain Uski Jaise Silaab E Noor Aata Hai . Na-Khuda To "Adam" Wohi Hai Jo Naao K Saath Doob Jata Hai....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Bister Teri Gali Sy Uthaya Na Ja Sake

Bister Teri Gali Sy Uthaya Na Ja Sake . Ye Zulf Apni Jaan Py Dhaya Na Ja Sake . Isko Shab E Firaaq Kahon K Shab E Wisal . Wo So Gaya Mujh Sy Jaga Na Ja Sake . Darta Hai Meri Wehshat E Dil Say Is Tarha . Chahay Bhi Gar To Pyar Karaya Na Ja Sake . Mozon Jaga Py Lafz Wohi Hai Jar'ra Howa . Joota Abd Wahan Sy Uthaya Na Ja Sake . Hai Infaradiyat Yahi Insan Ki "Adam" . Husn Uski Shakhsiyat Ka Churaya Na Ja Sake....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Chara E Dard

Mujhko Kis Shay Ki Talab Hai Mujhko Kya Darkaar Hai

Mujhko Kis Shay Ki Talab Hai Mujhko Kya Darkaar Hai . Is Zamin Main Kuch Tera Bhi Faisla Darkaar Hai . Ye Dawa To Tere Honthon K Shafa Khanay Main Hai . Mar Raha Hon Dard E Hasti Ki Dawa Darkaar Hai . Ye Zarorat Itni Na Jaiz Zarorat To Nahi . Aik Humdum Aik Sajan Aik Dilruba Darkaar Hai . 2sron Pr Hi Na Kr Dijiay Tawajja Khatam Sab . Banda Parwar Mujhko Bhi Aik Dilruba Darkaar Hai . Aay Pari Wash Main Wafa Or Sidq Ka Bhoka Nahi . Mujhko Aik Khobsorat Bewafa Darkaar Hai . Jo Ghareebon Sy Bhi Humdardi Ka Karta Hai Salook . Mujh Ko Us Bhagwan K Ghr Ka Pata Darkaar Hai . Khizar Ko Ly Aao Mere Pas Gr Us Shakhs Ko . Waqay'ee Chakhny Ko Kuch Aab E Baqa Darkaar Hai . Qeemti Kaleen Dikhatay Hai Mujhe Tajir "Adam" . Or Mujhe Qeemat Baghair Aik Borya Darkaar Hai....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Chara E Dard

Sitaron K Agay Jo Abadiyaan Hai

Sitaron K Agay Jo Abadiyaan Hai . Teri Zulf Ki Gumshuda Wadiyaan Hai . Zamana Bhi Kya Ronqon Ki Jaga Hai . Kahin Rona Dhona Kahin Shadiyan Hai . Teri Kakalain Hi Nahi Sabz Paryaan . Meri Arzo Main Bhi Shehzadiyaan Hai . Bari Shay Hai Wabastagi 2 Dilon Ki . Ye Pabandiyaan Hi To Azaadiyan Hai . Jahan Qadr Hai Kuch Na Kuch Admi Ki . Wo Kya Qabil E Qadr Abadiyan Hai . Ghareebon Sy Kya Kaam Asaishon Ka . Wo Onchay Gharaano Ki Shehzadiyaan Hai . "Adam" Sorton Ki Chamak Par Na Jana . Ye Sab Ankh Ki Fitna Ijadiyaan Hai....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Chara E Dard