Posts

Short Poetry

Yun To Wo Meri Rag O Jaan Say Say Bhi Thay Nazdeek-Tar....> . Aasoun Ki Dhundh Main Lekin Na Pehchanay Gaye...*SA* . .-._.-, '-._.S'A-Ki-JaAN.....* ////////////// /////////////////////// Hamare Haal Ki Khabar Wo Rakhta Tha.....> . Sari Umar Jo Anjaan Dikhai Diay....*SA* . .-._.-, '-._.S'A-Ki-JaAN...-* ////////////////////////////////// Hum Na Hon Gay Tujhe Kon Saada Day Ga.....> . Hum Fakeeron Ko Nigaahon Say Giraanay Waale....*SA* . .-._.-, '-._.S'A-Ki-JaAN...-* ////////////////////////////////////// Humko Halaat Nay Is Tarha Kiya Tha Yakja.....> . Jaise Guldaan Main Do Phool Galay Milte Hai.....*SA* . .-._.-, '-._.S'A-Ki-JaAN...-* /////////////////////////////////////// .

Ghar Say Dil Thamay Hoay Kya Nikle,

Ghar Say Dil Thamay Hoay Kya Nikle, Kocha E Yaar Main Hum Jaa Nikle.* . Kaash Armaan Mere Dil Ka Nikle, Ghar Say Chal Kar Wo Idhar Aa Nikle.* . Ya Tu Lay Jaye Mujhe Saath Ujal, Ya Koi Ghum Ka Mada'wa Nikle.* . Tha Zamane Main Karam Ka Shahra, Aap To Qaher Sarapa Nikle.* . Har Qadam Par Hai Nigahain Mushtaq, Ghar Say Bay Parda Koi Kya Nikle.* . Kar Gaya Kaam, Tabassum Unka, Jitne Shikway Thay Wo Bay Jaa Nikle.* . Hum Samajhty Thay Jinhain Maah O Najom, Apki Naqsh E Kaf E Paa Nikle.* . Jab Wo Suntay Hi Nahi Baat Meri, Kis Tarha Dil Ki Tamanna Nikle.* . Un K Humrah Adain Nikleen, Wo Kabhi Ghar Say Na Tanha Nikle.* . Maherbar Hum Pay Nahi Jab Wo "Naseer", Kis Tarha Hosla Dil Ka Nikle....*SA* . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab

Haqeqat Daikh Lain Khud Jorr Kar Tasveer K Tukray,

Haqeqat Daikh Lain Khud Jorr Kar Tasveer K Tukray, Ye Mere Dil K Tukray Hai Ye Un K Teer K Tukray.* . Dua Ki Thi To Thori Dair Zalim Sabr Krna Tha, Teri Aah O Fagaan Nay Kar Diay Taseer K Tukray.* . Yahi Jaib O Garaiban Thay Mera Sarmaya Lay Day Kar, Janoon Nay Kr Diay Meri Jageer K Tukray.* . Wafa Ka Zikr Bhi Hai Bewafai Ki Shikayat Bhi, Juda Aik Dosray Say Hai Meri Tahreer K Tukray.* . Mukhatib Hai Aa'du Lekin Nishana Meri Chahat Hai, Inhain Main Teer Samjhon Ya Kahun Takreer K Tukray.* . Asar Ho Kum Say Kum Itna Sooz E Shamma E Mehfil, Jo Gul Kutray To Ho Jayain Waheen Gul Geer K Tukray.* . Wafaon Ka Mehel Maine Jatan Kar K Banaya Tha, Jafaaon Sy Uraaye Tu Nay Is Tameer k Tukray.....*SA* . Khatkatay Hai To Dil Mehsos Karta Hai Ajab Lazzat, Tere Taanay K Nishter Hon K Tere Teer K Tukry.* . Khizaan Tak Ye Qafs Hai Ye Aaseri Hai Ye Pabandi, Bahaar Aai To Ho Jayain Gay Khud Zanjeer K Tukray.* . Sharaaron Say Meri Aah O

Ishq Main Sabar Kaargar Na Hoa,

Ishq Main Sabar Kaargar Na Hoa, Aah Ki Aah Main Aasar Na Hoa.* . Nehl E Umeed Baar'war Na Hoa, Jo Na Hona Tha Umar Bhar Na Hoa.* . Itna Aasaan Nahi Kisi Pay Karam, Ap Sharma'ain Gay Agar Na Hoa.* . Hum Hoay Laakh Sab Say Baiganay Wo Na Apna Hoa Magar Na Hoa.* . Jis Tarha Intizaar Main Hum Thay, Is Tarha Apka Guzar Na Hoa.* . Ghair Ghar Kar Gaya Tere Dil Main, Ik Mera Tere Dil May Ghar Na Hoa.* . Hum Wafa Kar K Bewafa Thahray, Koi Ilzaam Tere Sar Na Hoa.* . Mere Halaat Say "Naseer" Ab Tak, Bakhabar Husn E Bekhabar Na Hoa....*SA* . Type By,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Poet Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab

Kahne Sun'nay Sy Na Apas Main Safai Hogi,

Kahne Sun'nay Sy Na Apas Main Safai Hogi, Kuch Kaha Hum Ny To Bigro Gay Larai Hogi.* . Chashm E Sahra Main Nazar Aaye Nami K Aasaar, Haan Sabab Iska Meri Ablaa Paai Hogi.* . Bas Yahi Soch K Lab Basta Hai Tere Khamosh, Monh Say Niklegi Agar Baat Parai Hogi.* . Mere Naalon Main Tha Armano Ka Maatum Shamil, Raat Bhar Neend Kahan Kal Inhain Aai Hogi.* . Kuch To Tab'aan Bhi Thay Shola Rawish O Garam Mizaaj, Yaar Logon Nay Bhi Kuch Aag Lagai Hogi.* . Yun Khula Hai Na Khulay Ga Ye Mu'aam Dil Kaa, Zulf Suljhao Gay To Uqdaa Kashaai Hogi.* . Iltifat E Nigya E Yar Ye Kehta Hai "Naseer", Uski Mehfil Main Kabhi Apni Rasai Hogi....*SA* . Type By,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Poet Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab

Haath Aa Jaye Mere Dard Ka Dar'maan Koi,

Haath Aa Jaye Mere Dard Ka Dar'maan Koi, Aisi Gardish Bhi Ho Gardish E Doraan Koi.* . Ab Bujz Qurb Nahi Zeest Ka Makaan Koi, Warna Hota Nahi Sharminda Ehsaan Koi.* . Kho Chala Kocha E Jaa'na Main Dil O Jaan Koi, Yun Bhi Allah Na Ho Bay Sar O Samaan Koi.* . Mutma'in So Na Saka Khulq Main Insaan Koi, Aa Hi Jata Hai Nazar Khawab E Paraishan Koi.* . Yun Tere Mushaf E Rukh Par Hai Nigahain Apni, Shoq Say Jaise Tilawat Kard Quraan Koi.* . Muztarib Main Bhi Zamane Ki Karri Dhoop Maim Hun, Chahta Hun K Chupa Lay Tah E Damaan Koi.* . Husn Aik Qehr Hai Afat Hai Ghazab Hai Yaaro, Dil Lagaye Na Kahin Bhool K Insaan Koi.* . Apki Baat Samjhta Hun Kahun Ya Na Kahun, Aap Daa'na Sahi Main Bhi Nahi Daa'naan Koi.* . Muskurty Hai Mujhe Daikh K Dunya Wale, Mere Allah Na Ho Mujh Sa Paraishaan Koi.* . Hai Ye Iqraar Ki Taqraar K Inkaar Ka Rang, Kah Raha Hai Meri H

Umar Beeti Hai Haal E Ghum Kahte,

Umar Beeti Hai Haal E Ghum Kahte, Or Kya Dastaan Hum Kahte.* . Apni Rudaad E Ranj O Ghum Kahte, Koi Sunta To Us Sy Hum Kahte.* . Aa'ray Aate Hai Dagh E Dil Warna, Kochaa E Yaar Ko Iram Kahte.* . Baat Chirti Agar Tagaaful Ki, Hum Sitam Kahte Wo Karam Kahte.* . Tu Na Chupta Agar Nigaahon Say, Log Pather Ko Q Sanam Kahte.* . Wo Jo Rasmun Bhi Maherban Hota, Hum Isay Ishq Ka Bharam Kahte.* . Haal E Ghum Kah Raha Hon Ruk Ruk Kar, Dil Dharkta Hai Ik Dum Kahte.* . Naam Q Na Liyaa Muqaddar Ka, Unki Zulfon Ka Aik Khum Kahte.* . Kabhi Milte To Apna Apna Ghum, Hum Say Wo Or Un Say Hum Kahte.* . Aik Uftaad Ho To Zikar Karain, Dum Nikalta Hai Haal E Ghum Kahte.* . Kis Nay Apna "Naseer" Saath Diya, Kis Ko Dunya Main Hum-Qadam Kahte....*SA* . Type By,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Poet Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab