Posts

Showing posts with the label Poet Peer Naseer O Deen Naseer

Main Hi Aik Waqf E Adab E Muhabt Hon Naseer

Koi Is Dasht E Wafa May Na Chala Mere Bad Zarry Zarry Py Mera Naqsh Raha Mere Bad . Yun Na Phr Hoga Koi Nagma Sira Mere Bad Or Hi Hogi Gulistan Ki Hawa Mere Bad . Is Trha Kon Aser E Kham Kakul Hoga Kisko Ras Ayegi Zindan Ki Fiza Mere Bad . Phr Na Pabnd E Wafa Hoga Koi Mujh Jesa Rakhy Rah Jayain Gy Adab E Wafa Mere Bad . Maine To Zahr Bhare Jaam Muhabt Main Piaye Dikhiaye Kisko Sharf Ho Ya Ata Mere Bad . Dast E Rangen Py Tere Kiska Laho Chamky Ga Rang Lane Sy Raha Rang E Hina Mere Bad . Chashm O Abro K Isharat Khulain Gy Kis Par Koi Samjhy Ga Ye Ghamza Ye Ada Mere Bad . Rah Sunsan Makaan Khasta Maken Afsurda Kaisa Wiran Howa Shahr E Wafa Mere Bad . Mujh Sa Koi Bhi Nahi Tere Wafadaron Main Ur K Rah Jayega Ye Rang E Hina Mere Bad . Main Hi Aik Waqf E Adab E Muhabt Hon Naseer Mil K Dhondhy Gy Mujhe Ahl E Wafa Mere Bad . Type By..-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet;- Naseer O Deen Naseer Book Paiman E Shab

Rehne Lagi Wo Zulf E Garah Geer Samnay

Rehne Lagi Wo Zulf E Garah Geer Samnay.* . Har Waqt Ab To Hai Yahi Zanjeer Samne.* . Aaty Hai Khair Say Wo Nazar Kabhi Kabhi.* . Aane Lagi Hai Khawab Ki Tabeer Samne.* . Ho Jayega Mohasba Dushman Ka Khud Ba Khud.* . Aa Jayain Gay Faraib K Sab Teer Samne.* . Aay Dil Zara Sanbhl K Uthana Udhar Qadam.* . Wo Daikh Wo Hai Zulf Ki Zanjeer Samne.* . Mabni Munafiqat Pay Hai Yaaro Ka Ye Chalan.* . Tazleel Meri Bad Main Toqeer Samne.* . Tadbeer Say Badal Nahi Sakte Muqadraat.* . Hoga Wohi Jo Laye Gi Taqdeer Samne.* . Dewana To Bahaar Main Sehra Ko Chal Diya.* . Toti Pari Hoi Hai Wo Zanjeer Samne.* . Kya Likh Diya Maine K Tum Ho Gaye Khafa.* . Lao To Ik Zara Meri Tehreer Samne.* . Hans Kar "Naseer" Sy Bhi To Kuch Guftagu Karain.* . Baitha Hoa Hai Apka Dilgeer Samne....'*SA*' . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet:- Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab

Har Ishara Dushman E Qulb O Jiger Lagne Laga

Har Ishara Dushman E Qulb O Jiger Lagne Laga . Husn Walo Ki Nazar Say Mujhko Darr Lagne Laga . Jaise 2no Main Ho Koi Khaas Waja E Mushtariq . Ab To Mujhko Apka Ghar Apna Ghar Lagne Laga . Is Numaish Gaah E Alam Ki Numaish Daikh Kar . Har Nazara Humko Jaado Ka Asar Lagne Laga . Kum Nahi Amad Say Teri Tere Aanay Ki Khabar . Aaj Qasid Ka Bayaan Bhi Motabir Lagne Laga . Daikh Kar Sai'yaad Ko Sakte Main Hai Marg E Chaman . Baal O Par Hoty Hoay Bay Baal O Par Lagne Laga . Khul Gaya Hai Apni Ankhon Par Rafaqat Ka Saraab . Ab To Humko Apne Saaye Sy Bhi Darr Lagne Laga . Jab Jabeen E Shoq Ny Daikha Ba Chashm E Aetiqaad . Sara Alam Hi Tumhara Sang E Dar Lagne Laga . Intiha Ay Dard Ny Fitrat Badal Dali "Naseer" . Ghum Mujhe Kab Zahr Lagta Tha Magar Lagne Laga....'*SA*' . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet:- Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab

To Kaheen Badgumaan Na Ho Jaye

To Kaheen Badgumaan Na Ho Jaye Justaju Raigaan Na Ho Jaye.* . Maherbaan Asmaan Na Ho Jaye Ye 'Nahi' Teri 'Han' Na Ho Jaye.* . Ishq Unko Bhi Kar Na Dy Mujh Sa Jo Yahaan Hai Wahaan Na Ho Jaye.* . Aaj Tum Harf E Mud'da'a Sun Lo Kal Yahi Dastaan Na Ho Jaye.* . Fasilay Hai Dilon K Dukh Zalim Phr Koi Darmiyaan Na Ho Jaye.* . Raste Manzilon Say Bargashta Gum Kaheen Karwaan Na Ho Jaye.* . Sharam Say Ye Teri Nigah Ka Teer Kaheen Jhuk Kar Kamaan Na Ho Jaye.* . Har Kisi Ko Wafa Ka Hai Daa'wa Dosto Imtihaan Na Ho Jaye.* . Wo Jo Ghum Bat'ta Saky Wo Rahe Jo Mera Razdaan Na Ho Jaye.* . Q Rahe Dil Ki Baat Dil Main "Naseer" Aansuon Say Bayaan Na Ho Jaye....'*SA*' . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet:- Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab

Ashkon Ki Fiza Bhigo Gaye Hum

Ashkon Ki Fiza Bhigo Gaye Hum Thandak Jo Mili To So Gaye Hum.* . Agoosh E Lahed Main To Gaye Hum Dunya Ki Hawas Kho Gaye Hum.* . Mana K Teri Khata Nahi Hai Barbaad Ye Kaise Ho Gaye Hum.* . Palkon Pay Chamak Rahe Hai Ansoo Moti Ye Ajab Piro Gaye Hum.* . Kaatay Ga Koi To Fasal Aa Kar Ikhlaas Ka Beej Bo Gaye Hum.* . Jate Na Kabhi Us Anjuman Main Yaad Us Nay Kiya Hai To Gaye Hum.* . Aakhir Wo Chaman K Kaam Aaye Aanso Jo Laaho Ro Gaye Hum.* . Kis Baat Pay Tum Tarap Uthay Ho Kanta To Nahi Chibho Gaye Hum.* . Bulwaya Tha Bazm Main To Aaye Kahte Hai Jao Lo Gaye Hum.* . Kismat K "Naseer" Khail Daikho Paya Jo Unhain To Kho Gaye Hum....'*SA*' . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet:- Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab

Kisi K Husn Pay Dil Ko Ganwa K Baitha Hun

KISI K Husn Pay Dil Ko Ganwa K Baitha Hon . Hawas O Hosh Ki Dunya Lota Baitha Hun . Buton K Bazm Ko Kaba Bana K Baitha Hon . Khuda Gawah K Ghar Main Khuda K Baitha Hon . Kuch Is Ada Sy Gulistan Main Aa K Baitha Hon . Golon Ki Chah Main Khud Ko Lota K Baitha Hon . Khabr Nahi K Mera Hal Kya Ma'aal Ho Kya . Abhi To Apki Mehfil Main Aa K Baitha Hon . Phr Ap Jaam Liay Aa Rahe Hai Meri Janib . Janab E Shaikh Abhi To Pila K Baitha Hon . Ab Unki Bazm K Dastor Kya Bataon Main . Kabhi Na Un Sy Mila Hon Na Ja K Baitha Hon . Bhatak Na Jayain Andhaire Main Wo Shab E Wada . Chiraagh Rah Main Unki Jala K Baitha Hon . Unhain Na Meri Koi Fikr Na Mera Khayal . Wo Jin K Waste Sb Kuch Lota K Baitha Hon . Zameen Pr Nazr Aata Hai Sirangoon Kya Kya . "Naseer" Charkh Ko Nicha Dikha K Baitha Hon....'*SA*' . Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet:- Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E

Kijiay Jo Sitam Rah Gaye Hai

Kijiay Jo Sitam Rah Gaye Hai Jan Daine Ko Hum Rah Gaye Hai . Bant Leen Sab Nay Apas Main Khushiyan Mere Hisay Main Ghum Rah Gaye Hai . Qafilay Wale Manzil Pay Ponhchay Ye Na Daikha K Hum Rah Gaye . Ab Na Uthna Sirhanay Say Mere Ab To Ginti K Dum Rah Gaye Hai . Ye Gali Kis Ki Hai Allah Allah Uthtay Uthtay Qadam Rah Gaye Hai . Kainat E Jafa O Wafa Main Aik Tum Aik Hum Rah Gaye Hai . Daikh Kar Un K Mangto Ki Gairat Dang Ahl E Karam Rah Gaye Hai . Hum Say Allah Wale Kahn Ab Ap Jaise Sanam Rah Gaye Hai . 2 Qadam Chal K Rah E Wafa Main Thak Gaye Tum , Kah Hum Rah Gaye Hai . Wo To Aa Kar Gaye Bhi Kabhi K Dil Pay Naqsh E Qadam Rah Gaye Hai . Aj Saqi Pila Shaikh Ko Bhi Aik Yahi Mohtaram Rah Gaye Hai . Wo Gaye Jin K Dum Say Thi Ronaq Or Rahne Ko Hum Rah Gaye Hai . Unki Sat'tariyan Kuch Na Pocho Asiyon Bharam Rah Gaye Hai . Dil Naseer Unka Tha Lay Gaye Wo Ghum Khuda Ki Kasam Rah Gaye Hai....'*SA*' - -

Un Say Har Waqt Meri Ankh Lari Rahti Hai,

Un Say Har Waqt Meri Ankh Lari Rahti Hai, Kya Laraka Hai K Larnay Pay Aarri Rahti Hai.* - - - Daikh Kar Waqt K Maqtal Main Meri Shan E Warwad, Dar Main Qatil Hi Nahi Moat Khari Rahti Hai.* - - - Teri Tasveer Mere Dil Main Nageenay Ki Tarha, Jagmagati Hai Chamakti Hai Jarri Rahti Hai.* - - - Log Sach Kahte Hai Pamal E Muhabt Mujhko, Meri Chahat Tere Qadmo Pay Pari Rahti Hai.* - - - Afatain Laakh Hon Daikha Na Kabhi Chehra E Yaas, Mujhko Allah Say Umeed Bari Rahti Hai.* - - - Jo Kabhi Khon E Shahedaan Say Hina Band Rahe, Ab Unheen Phol Say Hathon Main Char'ri Rahti Hai.* - - - Yun Na Itra K Jawani Bhi Hai Aani Jani, Chandni Chand Ki Do Char Ghari Rahti Hai.* - - - Garya E Chashm Ka Ulfat Main Ye Alam Hai "Naseer" Koi Mosam Bhi Ho Sawan Ki Jhari Rahti Hai....'*SA*' - - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - - - Poet:- Peer Naseer O Deen Naseer Shah Book

Ishtiaaq E Deed Tha Aakhir Udhar Jana Para

Ishtiaaq E Deed Tha Aakhir Udhar Jana Para . Unki Mahfil Main Ba Andaaz E Nazar Jana Para . Mahez Kar K Ranj O Ruswai Ka Dar Jana Para . Tere Kochay Main Na Jana Tha Magar Jana Para . Ishq Roka Bhi Dil Tha Fitna Gar Jana Para . Bay Bulaye Bhi Kuch Insano K Ghar Jana Para . Saair E Gul Ka Marhala Tha Daam E Humring E Zameen . Lay Chali Baad E Saba Hum Ko Jidhar Jana Para . Awwal Awwal To Rahi Dil Sy Mere Begaangi . Akhir Akhir Unko Sheeshay Main Utar Jana Para . Muskuranay Ki Saza Milni Thi Saihen Bagh Main . Phol Ki Aik Aik Pat'ti Ko Bikhar Jana Para . Dar Ba Dar Phirnay Say Behtar Hai Kahen Ka Ho Rahe . Hum Chale Jayain Gay Us Dar Tak Agar Jana Para . Bay Rukhi Unki Musalsal Daikh Kar Akhir "Naseer" . Bazm Say Uth Kar Hamain Ba Chashm E Tar Jana Para . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab

Dil Agar Bay Ghubaar Ho Jaye

Dil Agar Bay Ghubaar Ho Jaye Haq Ka Aaina Daar Ho Jaye...> . Jo Nazar Aa Paar Ho Jaye Wohi Dil Ka Qaraar Ho Jaye...> . Moat Kis Monh Say Aaye Baalaain Par To Agar Aik Baar Ho Jaye...> . Ik Tabas'sum Sahi Wafa Na Sahi Zindagi Pur Bahaar Ho Jaye...> . Bay Had O Bay Hisaab Uska Karam Dil Agar Sharamsaar Ho Jaye...> . Aaina Apne Samne Say Utha Ye Na Ho Khud Say Pyar Ho Jaye...> . Khul K Har Aik Say Milain Jo "Naseer" Sar Pay Dunya Sawaar Ho Jaye...'*SA*' . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet:- Naseer O Deen Naseer Book Paiman E Shab

Dil Main Armaan Qaiher Ho Jaise

Dil Main Armaan Qaiher Ho Jaise, Koi Tofaan Ki Laiher Ho Jaise.* . Ab Ye Aalam Hai Arzoun Ka, Dil May Abad Shaher Ho Jaise.* . Allah Allah Talkhiyan Ghum Ki, Jaam, Talkhab E Zaihr Ho Jaise.* . Aankh Say Is Tarha Hai Ashk Rawaan, Khoon Ki Aik Laiher Ho Jaise.* . Pee To Lete Hai Hazrat Waaiz, Lekin Aaise Kah Zaiher Ho Jaise.* . Dil Ki Barbadiyun Ka Haal Na Pooch, Koi Weeraan Shaher Ho Jaise.* . Yun Tabassum Hai Un K Honton Par, Ma'ay Ki Sager May Laiher Ho Jaise.* . Monh Banate Hai Is Tarha Wo "Naseer", Mere Har Baat Zaiher Ho Jaise....*SA* . Type By....-* .-._.-. '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet:- Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab

Jagmagany Lagi Baam O Dar Chandni,

Jagmagany Lagi Baam O Dar Chandni, Har Taraf Aa Rahi Hai Nazr Chandni.* . Wo Nahi Hai To Barq O Sharar Chandni, Dhondh Ly Ab Koi Or Ghar Chandni.* . Un K Jalwon Ki Tashreeh Mumkin Nahi, Sar Ba Sar Noor Hai Sar Ba Sar Chandni.* . Yun Hi Kahte Nahi Unko Rashk E Qamar, Wo Jidhar Hun Gay Hogi Udhar Chandni.* . Teergi Teergi Hi Rahe Gi Sada, Laakh Patkaa Kare Apna Sar Chandni.* . Meri Tareek Qismat Ka Aalam Ye Hai, Chand By Noor Hai By Aasar Chandni.* . Husn Hai Unka Yun Bazm Main Zu Fagan, Jaise Chaai Ho Mahool Par Chandni.* . Aa Gaya Hai Mera Chand Shayad Nazr, Hai Ufaq Na Ufaq Jalwagar Chandni.* . Un K Jalwon May Gum Ho K Mumtaz Ho, Thokarain Kha'ain Q Dar Ba Dar Chandni.* . By Hijabana Nikle "Naseer" Aaj Wo, Main Bhi Daikhon Sar E Rahguzar Chandni....*SA* . Type By....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet:- Naseer O Deen Naseer Book Paimaan

Wo Phol Hun K Khila Hun Saba K Raste May,

Wo Phol Hun K Khila Hun Saba K Raste May, Khizan To Phaink Gai Thi Qaza K Raste May . Janon Ny Sath Dia Hai Khuda K Raste May, Khurd To Chor Gai Mujhko La K Raste May . BaZa'im E Khawish Mere Rehbar Bany Jo Log, Palat Gaye Wohi Kanty Bicha K Raste May . Khuda Gawah K Tari Hai Jazb Ka Aalam, Ab Aaye Koi Na Unki Gada K Raste May . Jisy Hamari Talb Ho Wo Hum Tk Aa Pohnchy, Ye Kah Rahe Hai Wo Pehry Bitha K Raste May . Baraye Deed Na Aaye To Kya Kare Koi, Jamay Hai Ap To Mahfil Jama K Raste May . Wo Apne Ghr May Bitha Kr Mujhe Bura Kahte, Chali Gai Na Sunaty Bula K Raste May . Kaha Maine K Main Bhi Chalo Ga Tumhare Sath, To Mujhko Taal Diya Muskura K Raste May . Hazar Qurb Ho Fitrat Badal Nahi Sakti, Darya E Koufa Bhi Hai Karbala K Raste May . Kahan Sy Dasht E Gareeban May Roshni Aaye, Chiragh Kon Jalaye Hawa K Raste May . Kabhi To Hogi Rasai "Naseer" Us Dar Tk, Gubar Ban K Pare Hai Saba K Raste

Aa Gaye Wo Meri Chashm E Motabir K Samne,

Aa Gaye Wo Meri Chashm E Motabir K Samne, Parda Kab Utha Nigah E Parda Dar K Samne . Wo Pas E Chilman Hai Hum Hr Dum Nazar K Samne, Aaj Hum Deewar Ban Baithay Zar K Samne . In Gareebon Ko Samjh May Nahi Aati Dawa, Charagar By Bas Hoay Dard E Jiger K Samne . Bujh Gaya Bazm E Falak Ka Noor Barasta Chiraagh, Daagh E Dil Chamka Jo Khursheed E Saher K Samne . Daikhiay Ab Azaan E Sajda Kisko Hota Hai Naseeb, Sar Ba Khum Dunya Khari Hai Sang E Dar K Samne . Hum Tilism E Arsa E Hasti Main Kho Baithay Hawas, Kuch Karishmay Aa Gaye Nazr K Samne . Hashar Main Khul Jaye Ga Insan Pay Khud Apna Bharam, Aaye Jab Aamaal Sare Umar Bhar K Samne . Ik Zara Deewangi Kuch Or Hony Do Fuzoon, Beech Hai Dewaar E Zindaan Mere Sar K Samne . Maine Likha Tha K Dain Forun Mere Khat Ka Jawab, Purzy Purzy Kr Dia Khat Nama Bar K Samne . Ghum Nahi Kuch Hasad'on Ki Harf Geeri Ka "Naseer", Raat K Taaray Kahin Thahray Saher K

Jo Maherban Tha Sitamgar Howa Ghazab Kya Hai

Jo Maherban Tha Sitamgar Howa Ghazab Kya Hai, Ilaahi Khair Wo Jab Kya Tha Wo Ab Kya Hai.* . Ye Dosti Bhi Ho Ik Dushmani Ajab Kya Hai, Kabhi Khafa Ho Kabhi Maherban Ye Sab Kya Hai.* . Nigah Daikh Rahi Hai Samjh Nahi Sakti, Khabar Nahi Ye Tamashay Roz O Shab Kya Hai.* . Ye Dil Unhi Ka Tha Ye Jaan Unhi Ki Sahi, Shikayat Unko Muhabt Main Hum Say Ab Kya Hai.* . Khuda Gawah Main Un Say Mang Lon Unko, Kabhi Wo Poch K Daikhain Meri Talab Kya Hai.* . Kaha Hai Ye Chara Garoo Nay Dawa Hai Baad Ki Baat, Pata Chale K Tere Dard Ki Waja Kya Hai.* . Tumhare Wada E Farwa Ka Aaitbar To Hai, Guzar Hi Jaye Gi Furqat Ki Aik Shab Kya Hai.* . Khuda Gawah Kah Is Par Mujhe Ghamand Na Tha, Magar Hashar Main Ja Kar Khula Nasab Kya Hai.* . "Naseer" Dil Ki Khushi Par Hai Inhasar E Nishaat, Udaas Dil Ho To Phr Mehfil E Tarb Kya Hai....*SA* . Type By.......* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet:- Naseer O Deen Naseer Book

Khamoshi K Zuban Say Guftagu Karni Bhi Aati Hai,

Khamoshi K Zuban Say Guftagu Karni Bhi Aati Hai, Hamain Ashkon Sy Shar E Arzo Karni Bhi Aati Hai . Faqt Hathon Say Mehndi Ko Rachana Hi Nahi Aata, Unhain Har Arzo Meri Laaho Karni Bhi Aati Hai . Nahi Dushwar Koi Manzil E Maqsood Ka Mitna, Safar Dar Paish Ho To Justaju Karni Bhi Aati Hai . Adab Ma'ay Hai Warna Bargah E Naaz Main Ja Kar, Humain Har Baat Un K Ru Ba Ru Krni Bhi Aati Hai . Kahin Aaisa Na Ho Ghabra K Wo Mehfil Say Uth Jayain, K Is Nacheez Ko Kuch Baa O Hu Karni Bhi Aati Hai . Kisi K Martaby Ka Paas Hai Waqt E Sukhan Lazim, Tumhain Waaiz Kisi Say Guftagu Bhi Karni Aati Hai.* . Baha Kar Khon E Dil Armaan Sab Apne Laahu Kar K, Tere Kochay Ki Mit'ti Surkh Ru Karni Bhi Aati Hai . Janaab E Shaikh Aksr Maikaday Say By Piaye Nikle, Ba Humdu Lillah Ibadat Bay Waazu Bhi Karni Aati Hai . "Naseer" Apno Ki Izzat Log Karte Aaye Hai Lekin, Wo Hum Hai Jinko Tazeem E Aadu Karni

Jum K Baithain Kabhi Aaisi Bhi Mulakat To Ho

Jum K Baithain Kabhi Aaisi Bhi Mulakat To Ho, Tum Kaho Shaam Hoi Main Kahun Raat To Ho.* . Kum Sy Kum Ghair Sy Yun Hans K Na Ho Sar Goshi, Apki Bazm Main Itni Meri Oqaat To Ho.* . Mujh Pay Ye Barish E Altaaf Aadu Bhi Daikhay, Ho Na Ho Koi Magr Aaj Wo Kum Zaat To Ho.* . Bay Sabab Tark E Ta'alluq Pay Utar Aaye Tum, Koi Ranjish Ka Kareena Ho Koi Baat To Ho.* . Bada E Naab Ka Kya Hai Wo To Pee Hi Lain Gay, Maherban Pahle Magr Peer E Kharabat To Ho.* . Aaj Aaye Hai Tujhe Daikhne Tere Saa'il, Dil K Kashkool Main Deedaar Ki Khairaat To Ho.* . Jaan O Dil Lay K Faqt Aay Ho Mahfil Main "Naseer", Daikh Laina Tha Koi Kaam Ki Sogaat To Ho....*SA* . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet:- Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab

Ye Nazar Ki Zad Hai Zalim Mera

Ye Nazar Ki Zad Hai Zalim Mera Dum Nikal Naa Jaye, Mujhe Sirf Uska Darr Hai K Ye Teer Chal Na Jaye.* . Wo Uthti Hai Atish E Ghum K Nafs Nafs Hai Sozaan, Meri Rooh Tup Na Uthay Mera Jism Jal Na Jaye.* . Mere Raazdan Say Hans Kar Wo Khitab Kar Rahe Hai, Kaheen Thupkiyun Main Aa Kar Ko Raaz Ugal Na Jaye.* . Teri Bazm Main Jo Hum Hai To Ghair Q Ho, Ye Khalish Nikal Na Jaye Ye Azaab Tul Na Jaye.* . Wo Utha Rahe Hai Chaman Wo Dikha Rahe Hai Sorat, Kaheen Hosh Urr Na Jaye Kaheen Dil Machal Na Jaye.* . Main Chiragh E Naa Tawaan Hun Koi Dum Ka Maseehma Hun, Mere Samne Say Uth Kar Koi Aik Pal Na Jaye.* . Wo "Naseer" Sun Rahe Hai Mere Dard Ka Fasana, Mujhe Har Ghari Hai Dharka Kaheen Rukh Badal Na Jaye....*SA* . Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet:- Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab

Lo Giraftar E Ghum E Ulfat Hun Aay Humdum Abhi,

Lo Giraftar E Ghum E Ulfat Hun Aay Humdum Abhi, Dard Uthta Hai Mere Dil Main Magr Kum Kum Abhi . Ashkara Ho Nahi Paya Tera Ghum Abhi, Aay Dil E Nashad To Faryad Kar Paihum Abhi . Main Bhi Rotha Ap Say Main Bhi Howa Barhum Abhi, Bewafa Bhi Hun Lekin Ap Say Kum Kum Abhi . Deedni Hai Dosto Ka Ye Khulos E Pur Faraib, Day Rahe Hai Ghum Wohi Jo Thay Sharik E Ghum Abhi . Samna Unka Muyassar Ho To Phr Khul K Bars, Aay Suhaab Garya E Chashm E Tamanna Thum Abhi . Hum Nay Mustaqbil Ki Sarhad Par Gumbadain Daal Dee, Apko Kya Fikar Mazi Ka Karain Maatum Abhi . Daikh Lab Par Aa Jaye Koi Harf E Aarzo, Aay Dil E Nadaan Mizaaj E Yaar Hai Barhum Abhi . Ghair Mumkin Hai Tere Ghum Ki Pazeerai Na Ho, Bewafa Itne Gaye Guzray Nahi Hai Hum Abhi . Rafta Rafta Ho Gaye Ahbaab Sab Rukhsat "Naseer", Mere Seene Main Magr Taaza Hai Unka Ghum Abhi....*SA* . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet:-

Jo Kafan Bandh K Sar Say Guzray,

Jo Kafan Bandh K Sar Say Guzray, Wo Teri Rah Guzar Say Guzray.* . Dil Say Guzray K Jiger Say Guzray, Hum Ko Kya Koi Kidhar Say Guzray.* . Un Main Shamil Tha Mere Dil Ka Laaho, Ashk Ko Deeda-Tr Say Guzray.* . Raste Band Bala K Pahray, Koi Guzray To Kidhr Say Guzray.* . Or Koi Na Jachaa Ankhon May, Ap Hi Ap Nazr Sy Guzray.* . Daar Ki Rah Na Guzra Koi, Aik Hum Thay Jo Udhar Say Guzray.* . Apki Bazm Main Aa Kar Lakhon, Jaan Say Dil Say Jiger Say Guzray.* . Deeda O Dil Pay Qayamat Guzri, Ban Sanwar Kar Wo Jidhar Say Guzray.* . Rook Ashkon Ka Ye Silaab "Naseer", Is Say Pahle K Ye Sar Say Guzray....*SA* . Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet:- Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab